Zamane se hum nahi: Jigar Moradabadi

300.00

Size: 7×7 inch

Artwork size: 6 x 6 inch

Wooden textured acrylic frame with glass front

Equipped to hang on walls and rest on a flat surface

Frame color: Dark Brown

Shipping:

This product will be shipped within 2-3 working days

Description

ham ko miTā sake ye zamāne meñ dam nahīñ

ham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ

be-fā.eda alam nahīñ be-kār ġham nahīñ

taufīq de ḳhudā to ye nemat bhī kam nahīñ

merī zabāñ pe shikva-e-ahl-e-sitam nahīñ

mujh ko jagā diyā yahī ehsān kam nahīñ

rab hujūm-e-dard ko de aur vus.ateñ

dāman to kyā abhī mirī āñkheñ bhī nam nahīñ

shikva to ek chheḌ hai lekin haqīqatan

terā sitam bhī terī ināyat se kam nahīñ

ab ishq us maqām pe hai justujū-navard

saaya nahīñ jahāñ koī naqsh-e-qadam nahīñ

miltā hai kyuuñ maza sitam-e-rozgār meñ

terā karam bhī ḳhud jo sharīk-e-sitam nahīñ

marg-e-‘jigar’ pe kyuuñ tirī āñkheñ haiñ ashk-rez

ik sāneha sahī magar itnā aham nahīñ