Bimar ka haal acha hai- Ghalib

300.00

Size: 7×7 inch

Artwork size: 6 x 6 inch

Wooden textured acrylic frame with glass front

Equipped to hang on walls and rest on a flat surface

Frame color: Dark Brown

Shipping:

This product will be shipped within 2-3 working days

Description

husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai

bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh

meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai

aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā

sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai

be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā hai

vo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai

un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq

vo samajhte haiñ ki bīmār haal achchhā hai

dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz

ik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā

jis tarah ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai

qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.e

kaam achchhā hai vo jis ki ma.aal achchhā hai

ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz

shaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai

ham ko ma.alūm hai jannat haqīqat lekin

dil ke ḳhush rakhne ko ‘ġhālib’ ye ḳhayāl achchhā hai